Thursday 7 March 2019

Main tera re

Naina tere, naina mere dono hi mile,
Apne hi pyaar me ham dono dub chale,
Dono ka hi saath aisa tutena kabhi,
Tu mera ho gaya o yara, main tera ho gaya,
O yara ve, o yara ve,
Main tera re, tu mera re ||

Tera mera milna hi jeet-sa hain,
Jeet ha tum meri, main tera man re,
Saath tera, saath mera chhuteya kabhi,
Tu ruh ko chhuti hui ho hawa,
Tum mere khun ke katre-sa,
O yara re, o yara re,
Main tera re, tu mera re ||

Main tere saath hu, tum mere saath,
Saato janam rahe tera mera saath,
Haatho main leke haath nibhaunga zindagi ka saath,
O yaara re, o yaara re,
Main tera re, tu mera re ||

Tum mere baaho se dur jana nahi,
Yaadon se dur tum jana nahi,
Mere khwabo ka safar hai tu,
Meri yaadon ka hamsafar hai tu,
O jana ve, o jana ve,
Manga main bas zindagi me tera saath re ||

No comments:

Post a Comment